WRITTEN BY
Mr. Om V.Bhosale
Prologue,
mere pyaare dosto , aaj ki bagh dhaud bhari jindagi me thode se khamosh aur pareshan hum sab hai uska reason hai 'covid-19' ab dhire dhire sab kuch shuru to ho chala hai pr fir bhi logo ke dilo main dar kayam hai. ab ise apne mind se dur kar relax ho jaiye aur recharge and spritual life ke liye taiyyar ho jaiye ho sakta hai koi jadui shakti ka raaj ka pata apko chale but , aisa mai kuch bhi kehne wala nhi hoon. Magic sirf dhoka aur murkh banane ke liye istemal main laya jata hai aur main aisi bhul karna nhi chahta.
Main is book ke jariye baat karna chahta hoon apse aur apke chitt ( mind/ soul/ god/param_aatma) se. Chaho aap ise mera sandesh samjhe ya kehdo vichar samjhe baat ek hi hai. Merei har baat par vichar karna , manna nhi aur shadbo me uljho nhi bs samjho , jaano , tathya nikalo aur jivan main upyog main lao.
Main akela hi nhi is pari_bhasha ko samjhane wala hoon. Aapki sahayta jaruri hai aap bhi sway se prashn karoge tabhi aap is kitab ( lekh ) ke jad tak pahoch paoge. Agar aisa nhi karna chahte ho to rukh jao yah kitab tumhare liye nhi bani. Jab tak tum sway se prashn nhi karte koi kitab tumhe sway ka jawab ( aatmn ki aavaj ) bata hi nhi sakti.
Meri har kamyab koshish rahegi ki jivan dip apke jivan ko prakshit kare "prem" ke anmol diye se sara jivan aanand bhara rhe.
Aaj aur prem
Prem jivan ka anmol ratn hai , iski jarurat har kisiko hai agar tumhare jivan main prem nhi rha to tum murjha jaoge aur dusht ta yahi se aati hai. Agar chhote bachhe ko apne mata - pita se prem nhi mil paya to uska swabhav chidchida aur unhappy ho jata hai. Yah sara jhalakta hai bade hone ke saath saath . Log aksar kehte hai ki prem yaani sex ( sambhog) aaj isi ka trend chalta hai. Mard use samjhte hai jisne ladkiyo ke saath date ki hai ya Shonu Babu wale karname kiye hai. Par prem hume jina sikhata hai , mushkilo se ladna sikhata hai , marna nhi , kayar hona nhi sikhata hai. Agar tum apne Shonu Babu ke saath 24hr bs faltu ki baatein karte ho kya yh fijul pyaar nhi pratit hota. Par tumne yah sikha hai filmo se , ha ya na ? Bolo bhi . Main sabki baat nhi kar rha (exception ki baat nhi kar rha hoon) . hote hai kuch log vo prem ka sahara lekar saflta ka path gathte hai. Prem sahara nhi magta saath magta hai. Jab sahara manga jaye to bhag jana vaha se , sahara kuch pal ka hota hai, kuch kshan ka , kaam hote hi bhul jayenge vo tumhe . Sahara aur saath ko gehre bhav se samjhe kyoki ho sakta hai aap hadbda jaye shabd prayog se jyada tathya par dhyan dena kyoki har baar in shabdo ki Pratibha main chhupa gehra rishta samjhne main gadbadi ho na jaye.
Aaj kal log prem , ishqe , mohabbat ko sex se compare karte hai. Unka manna hai ki kisi ladki se prem , mohabbat kiya to sex is part of love aur romance is a feeling of emotions. Par kya yh bakwas nhi lagta. Khud se puchho , mujhe nhi pata aap kya sochte hain. Par ek baat avashya kahunga ki agar aap bhi usi shreni main aate hai jo adhik tar log aate hai to samjh jaiye aap galt track par hai. Main is main aapko yeh nhi batana chahuga ki kya galat aur kya sahi ?? Puchho apne aapse. Hamara dimag bahut chanchal hai use pakdo nhi bas kaam, karya ( work) main ulajhaye rakho yhi marg hai Uljhano se bachne ka . Aaj yuva varg jokhimo se gujar rha hai aur vo jokhim hai kachra (pornography) yh kachra barbad karne ke liye hi banta hai. is yuva ko koi sahi mayne main batane ko taiyyar nhi hai ki sab kuch fake hai , jhuta hai . Par jab us yuva ko yah pata chal jayega ho sakta hai tab vakt , samay uske haanto main na ho. Hamara mudda hai prem , kya aaj kal ya pehle bhi prem ka sahi mayne main arth pata tha . Jaise ki log apne hisaab se uska bhavarth (arth) nikalte hai , meaning nikalte hai . Gadbadi yahi hoti hai . Tum ne is shabd ko apavitra kar diya hai , asal main tum jise prem kehte ho vh prem nhi hai . Vha sari ki sari maya hai mrutyu hi mrutyu hai par pida ka karn apitu yhi hai. Shayad tumne isi rishte ko khas kar yuvao ne boyfriend/ girlfriend ka naam diya hai. Par meri un yuva vo se vinanti dharshana chahuga ki krupya kar is shabd ka prayog apne swarth hetu na kare . Bahut hi pyaare , Masum , shabd hai yeh . Yaad karo jab tum chhote the to kya tumhara / tumhari koi boyfriend / girlfriend tha ya nahi beshak tha . Boy aur friend in do shabdo ke prayojan se boyfriend shabd taiyyar hota hai usi prakar girlfriend shabd ka hai .yah samajhte ho , par galti ko sudharna nhi chahte . Tum jise prem samjh baithe ho vh prem nhi attraction hai keval . Chemical changes hone ke karan hone wali ichhaye , ashaye akarshan ka karan bn jati hai . Main unki baat kar rha hoon jinhe apni tatti bhi saaf karni nhi aati aur kehte ho prem karta hoon . Prem ke liye bodh jaruri hai. Jante kya ho tum prem ke baareime??.. shabd ko ganda mat karo sach batao aur baat ko niptao par tum chalak ho , samjhdar ho tumhe pata hai ki jab tak jhut kahoge nhi baat banegi nhi . Jhut se bacho , akarn se bacho aur agyaan se bacho.
Mera virodh nhi hai sirf unse jo prem ke Dipak se jindagi me char chand lagate ho asal main vha prem hai, nishta hain , swatantrya hai , bs yh kahna chahunga ki shona babu ke chakkar main jindagi barbaad kar doge.
Arth ki khoj mein
Saaf taur par kaha jaye ki prem niswarth hai , to aapko nhi lagta ki shadi veiigera bakwas hai . Shadi ka arth kya hai ? generation ko aage badhao , kya yahi arth nhi hota ?!! Iski vyakhya karne wale bahot mil jayenge par koi bhi yeh nhi kahega ki yaha khatra (it's a dengerous) hai kyoki unko aapki chinta nhi hai apni aap ki chinta hai . Unko apna vansha kaym rakhna hai to vo aisa karenge hi , kyoki virodha bhaas sirf niswarth se hota hai. Swarthi vyakti yh nhi chahta ki sachhai pata chale. Shadi mano alag kuch bhi nhi hai bs kuch logo ne ise akarshit karke rkha hai . Kuch log is liye kyoki unka wyavsay hi yah hai .
' Prem ki definition kuch is tarha dekhne ko milti hai jaise , niswarth bhav , swatantrya , madadgar ( helpfull) , Chintan , manan , smarn aur saath hi akarshan.' in sabhi shabdo ke milne se prem ki vyakhya kiyi ja sakti hai.
Prem ki shuruaat akarn hai . Asal baat yah hai ki prem akaran hai . Bilkul mirror ki tarha jitna Tum upar se grahan karoge utna hi mind ( smaran) main , jahan main gehra prabhav dala jata hai. Tum aastik ho ya nastik fark nhi padta bs vajib karn hona chaiye prem ka , akarn tum prem kisi stri / purush se kar hi nhi paoge . Kyoki tum usi ke saath rh sakte ho jo tumse nichla hai , chhota hai . aksar aisa hota hai , jab dono equal ho jayenge to ahankar se vo saath reh nhi payenge . Kahaniya gadhi jati hai , kavitayen banai jati hai , filme banai jati hai . Har patkatha main (film) , kahani main ek raja aur rani milte hai jaruri nhi vo raja aur rani hi rahe bs inka prayog isliye hota hai kyoki tumhe sachhai ka ghoont pine main pareshani hoti hai , problem hoti hai . Tumhara apna existence tumhe kharab lagta hai isi karna raja rani ka aksar istemal jyada dekhne ko milta hai.
If you submit your opinion in below the coment section comments, then you will bring the next one soon.Your friend Om .V.B.